“DECEMBER JAB BHi AATA HAi”
Wo pagli phir se
beetay mosam ko,
yad krti hy
Puraney cards parhti hai,
k jis main oss ne likha tha,
MAIN LOTOON GA DECEMBER MEIN..
Naye kaprey banati hai,
Wo sara ghar sajati hai,
DECEMBER k har aik din ko,
wo gin gin ker bitati hy..
Joonhi 15 gozarti hai,
Wo kch kch toot jati hy,
Magar phir b,
Poraani albums ko khol ker,
maazi ko bolati hy.
Nahi maloom ye oss ko,
K beete waqt ki khoshiyaan,
bohot takleef deti hain!
mehiz dil ko jalati hain..
Yoon hi diN beet jate hain..!
DECEMBER lot jata hy.
Magr wo khosh feham larki,
dobara se caleNdar maiN,
DECEMBER k mahine k safey ko
mor ker
phir se
DECEMBER k sehar main doob jati hy..!
k akhir os Ne likha tha,
“MAiN LOTOON GA DECEMBER MAiN”
Nice Poetry : CHeck this one
Usy kehna decmber agaya hai
Decmber ke guzrte hi
Bars ek or mazi ki gupha me dob jayga
Usy kehna decmber lot jayga
Magar jo khon so jayega
Jismon mein na jageyga
Usy kehna hawaein sard hain aur zindagi
Kuhrey ki dewaron me larzan hain
Usey kehna shagofay tehniyon me so rahey hain
or un pr barf kiczhadar bichi hai
Usey kehna agar soraj na niklega
To kaisey barf pighley gi
Usy kehna ke laut aye