humaray haal pe roya December
woh daikho….toot ke barsa December
guzar jata hai sara saal yooN to…
nahiN kat’ta magar…tanha December
bhala barish say kiya sairaab hoga!
tumharay wasl ka piyasa December
woh kab bichra?…nahiN ab yad..lekin
bas itna ilm hai…ke tha December
milan ke chand sikkay daal ismaiN…
mere hathoN maiN hai kaasa December
yooN palkaiN bheegti rehti haiN … jaisay
meri aankhoN maiN aa thehra December
jama poonji yehi hai umr bhar ki
meri tanhaai aur….mera December
sabab na pooch mere aansuoN ka…
hai pehlay hijr ka… pehla December
maiN in yadoN say bach ke jaooN kaisay?
ke meeloN door hai phaila December..
meri ankhoN say gar daikho …to jano..
ke hai barsaat maiN jalta December
abhi tak kohr maiN dooba hai aangan..
abhi tak yad hai… pichla December..
vry nice.